Jivan ye rangmunch mera malik ke hath me, wo mujhe khilaye bna ke khiladi ya rehjau ek anadi , sub malik ke hath me, kru kya, kiya kya jivan hai katputli,dor to hai us malik ke hath me , dana pani kaha ho aur kese sab wo taye karta hai bus aakar mere man me aadesh de deta hai, meri sas meri ruh aur uski khusi malik tere hath me, me na janu teri puja na janu tu hai kha , bus itna me janu iss sristi ko tu hi prabhu chala rha, tu chahta hai jo karwane wahi hota hai iss jag me , mallik sab tere hath me, me bhed hu wo tera jo apne jhund se gya bhatak mujhko ban charwaha tu ab rasta de dikha , ya de mujhe aadesh tu jo chahe jisse bhala ho samaj ka prabhu sab tere hath me , prem bhi , jwani bhi , chahat aur bhudapa bhi rup hai anubhav ke tere, swas bhi samir bhi jharoke hai tere , hum sab katputliya ye jivan rangmunch tera tu jab tak chahe khele isse aur phir tod kar phek de  malik  sab tere hath me , mena chaha kora jivan , mena chaha sara aasman, chaha chahat nam jo  soi dur prai , ab itni hi guzarish hai prabhu le lo mujhe tu apne saran me bna kar das apna tu khel iss rangmunch me.                               
No comments:
Post a Comment